Ek Umr Mah-o-sal Ki Thokar Mein Raha Hun

ek umr mah-o-sal ki Thokar mein raha hun

main sang sahi phir bhi sar-e-rah-e-wafa hun

aap apne hi na-karda gunahon ki saza hun

aawaz hun lekin tere honTon se juda hun

kya kam hai ki ruswa-e-jahan hun teri KHatir

main dagh hun lekin tere mathe pe saja hun

pani mein nazar aati hai ek chand si surat

pyasa hun magar der se dariya pe khaDa hun

ek tu hi nahin aur bhi KHuban-e-jahan hain

tujh ko nahin paya hai to auron se mila hun

sab des mere des hain sab log mere log

kya jaaniye main kaun si miTTi ka bana hun

(610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Umr Mah-o-sal Ki Thokar Mein Raha Hun In English By Famous Poet Asghar Gorakhpuri. Ek Umr Mah-o-sal Ki Thokar Mein Raha Hun is written by Asghar Gorakhpuri. Read famous Poem Ek Umr Mah-o-sal Ki Thokar Mein Raha Hun for youth and Student by Asghar Gorakhpuri. Free Download Ek Umr Mah-o-sal Ki Thokar Mein Raha Hun in PDF.