Dam ToDti Hai Sham Ki Nili Hawa

aasman kyun dur hota ja raha hai

titliyan aur faKHtaen

apni maftuha faza par mutmain hain

mujh mein kyun dam toDti hai sham ki nili hawa

mujh mein kyun soe parinde

mujh se kyun unche daraKHton ki zamin chhupne lagi

aasman kyun dur hota ja raha hai

raat ke is shamiyane mein koi mausam nahin hai

aaj maidanon mein

ek saya chalega dur tak

aaj dariyaon mein koi Dubta jaega

phir unche pahaDon par koi aawaz nili dhund banti jaegi

tum apne darwazon pe likh do

aaj ki shab chand ko garhan lagega

nind ko aankhen nahin mil paengi

(616) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam ToDti Hai Sham Ki Nili Hawa In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Dam ToDti Hai Sham Ki Nili Hawa is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Dam ToDti Hai Sham Ki Nili Hawa for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Dam ToDti Hai Sham Ki Nili Hawa in PDF.