Zindagi Maut Ka Aaina

jaisi zindagi hum guzarte hain waisi maut hamein milti hai

hum buzdil aadmi ki zindagi guzarte hain

to hamein maut bhi waisi hi buzdil nasib hoti hai

hum KHubsurat zindagi jite hain

to maut bhi KHubsurat milti hai

hum mohabbat ki zindagi guzarte hain

to maut bhi mahbuba ki tarah hamein milti hai

insan ne har shai ko gadla kiya hai

har qimti aadarsh ko maila kiya hai

har lafz ko be-mani kiya hai

allah ki banai hui chizon ko masKH karne ki koshish ki hai

lekin insan maut ko gadla nahin kar saka

maila nahin kar saka

be-mani nahin kar saka

masKH nahin kar saka

maut se zyaada KHalis shai duniya mein nahin hai

is se zyaada ba-mani shai maujud nahin hai

magar main kyun aisa kah raha hun

mujhe to ek bahut hi KHubsurat zindagi basar karni hai

mohabbat se labrez

raqs karti hui zindagi

jis mein raqqas ghaeb ho jata hai

aur sirf raqs baqi rahta hai

mujhe ek behad lazzat-bhari

rasili zindagi se gale milna hai

taki meri maut bhi KHubsurat ho

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Maut Ka Aaina In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Zindagi Maut Ka Aaina is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Zindagi Maut Ka Aaina for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Zindagi Maut Ka Aaina in PDF.