Baat Kuchh Bhi Na Thi Kyun KHafa Ho Gaya

baat kuchh bhi na thi kyun KHafa ho gaya

jo tha apna mera ghair sa ho gaya

dhup shiddat ki thi chal paDa rah mein

man ka aanchal mera aasra ho gaya

mujh ko mauj-e-bala se koi Dar nahin

jab sahaara mera naKHuda ho gaya

ab to aankhon se aansu bhi bahte nahin

zulm jab un ka had se siwa ho gaya

dil mein 'asghar' ke KHushiyon ki barsat thi

hanste hanste wo kyun gham-zada ho gaya

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Kuchh Bhi Na Thi Kyun KHafa Ho Gaya In English By Famous Poet Asghar Shamim. Baat Kuchh Bhi Na Thi Kyun KHafa Ho Gaya is written by Asghar Shamim. Read famous Poem Baat Kuchh Bhi Na Thi Kyun KHafa Ho Gaya for youth and Student by Asghar Shamim. Free Download Baat Kuchh Bhi Na Thi Kyun KHafa Ho Gaya in PDF.