Ek Pal Mein Kya Kuchh Badal Gaya Jab Be-KHabron Ko KHabar Hui

ek pal mein kya kuchh badal gaya jab be-KHabron ko KHabar hui

main tanhai mein chhupa raha jab mujh par us ki nazar hui

ek chand chamak kar chala gaya phir kitni ghaDiyan guzar gain

mujh ko to kuchh bhi KHabar na thi kab raat hui kab sahar hui

thi husn ki chhab ek ajab ada jab phul sa chehra mahak uTha

wo manzar mujh ko jacha bahut phir umr usi mein basar hui

aana bhi tera ghazab hua is shahr ka manzar badal gaya

bhaunchaal sa aaya gali gali har chiz idhar se udhar hui

ye rog laga hai ajab hamein jo jaan bhi le kar Tala nahin

har ek dawa be-asar gai har ek dua be-asar hui

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Pal Mein Kya Kuchh Badal Gaya Jab Be-KHabron Ko KHabar Hui In English By Famous Poet Ashfaq Amir. Ek Pal Mein Kya Kuchh Badal Gaya Jab Be-KHabron Ko KHabar Hui is written by Ashfaq Amir. Read famous Poem Ek Pal Mein Kya Kuchh Badal Gaya Jab Be-KHabron Ko KHabar Hui for youth and Student by Ashfaq Amir. Free Download Ek Pal Mein Kya Kuchh Badal Gaya Jab Be-KHabron Ko KHabar Hui in PDF.