Kaha Kis Ne Musalsal Kaam Karne Ke Liye Hai

kaha kis ne musalsal kaam karne ke liye hai

ye duniya asl mein aaram karne ke liye hai

mohabbat aur phir aisi mohabbat jo hai tujh se

chhupaen kyun ye KHushbu aam karne ke liye hai

karega kaun tujh ko teri be-mehri ka qail

yahan jo bhi hai tujh ko ram karne ke liye hai

ye kar-e-ishq mein uljhi hui be-nam duniya

haqiqat mein numud o nam karne ke liye hai

bahut chhoTa sa dil aur is mein ek chhoTi si KHwahish

so ye KHwahish bhi ab nilam karne ke liye hai

ghazal kahni phir us mein apne dil ki baat kahni

yahi kafi hamein badnam karne ke liye hai

bahut din rah chuke nam-awaron ke bich 'ashfaq'

ab apna nam bas gumnam karne ke liye hai

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaha Kis Ne Musalsal Kaam Karne Ke Liye Hai In English By Famous Poet Ashfaq Husain. Kaha Kis Ne Musalsal Kaam Karne Ke Liye Hai is written by Ashfaq Husain. Read famous Poem Kaha Kis Ne Musalsal Kaam Karne Ke Liye Hai for youth and Student by Ashfaq Husain. Free Download Kaha Kis Ne Musalsal Kaam Karne Ke Liye Hai in PDF.