Yahin Kahin Koi Aawaz De Raha Tha Mujhe

yahin kahin koi aawaz de raha tha mujhe

chala to sat samundar ka samna tha mujhe

main apni pyas mein khoya raha KHabar na hui

qadam qadam pe wo dariya pukarta tha mujhe

zamane baad un aankhon mein ek sawal sa tha

ki ek bar palaT kar to dekhna tha mujhe

ye panw ruk gae kyun be-nishan manzil par

yahan se ek naya rasta nikalna tha mujhe

ye zindagi jo tere nam se ibarat thi

ise kuchh aur banana sanwarna tha mujhe

rafiq-e-gardish-e-sayyargan se puchhunga

wo kaun tha jo KHalaon mein DhunDta tha mujhe

tamam tark-e-marasim ke bawajud 'ashfaq'

wo zer-e-lab hi sahi gunguna raha tha mujhe

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahin Kahin Koi Aawaz De Raha Tha Mujhe In English By Famous Poet Ashfaq Husain. Yahin Kahin Koi Aawaz De Raha Tha Mujhe is written by Ashfaq Husain. Read famous Poem Yahin Kahin Koi Aawaz De Raha Tha Mujhe for youth and Student by Ashfaq Husain. Free Download Yahin Kahin Koi Aawaz De Raha Tha Mujhe in PDF.