Agar KHushi Mein Tujhe Gungunate Lagte Hain

agar KHushi mein tujhe gungunate lagte hain

to log shahr se aansu bahane lagte hain

nikal ke aankh se lafzon mein aane lagte hain hain

miyan ye ashk hain yunhi Thikane lagte hain

guzar chuke hain kisi aks ki mayyat mein

hum aise log jo aaina-KHane lagte hain

to karne lagte hain ghusl-e-talash-e-misra-e-nau

hum apne aap ko jab bhi purane lagte hain

baghaur dekhen to yak-jast fasle pe hai tu

lagana chahen to sadiyan zamane lagte hain

shajar hun aur parindon se hai bahaar meri

ye mujh pe aaen to phal-phul aane lagte hain

karen to kya hamein amboh-e-KHwab rokta hai

kabhi jo soe huon ko jagane lagte hain

hum aaine mein tera aks dekhne ke liye

kai charagh nadi mein bahane lagte hain

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar KHushi Mein Tujhe Gungunate Lagte Hain In English By Famous Poet Ashfaq Nasir. Agar KHushi Mein Tujhe Gungunate Lagte Hain is written by Ashfaq Nasir. Read famous Poem Agar KHushi Mein Tujhe Gungunate Lagte Hain for youth and Student by Ashfaq Nasir. Free Download Agar KHushi Mein Tujhe Gungunate Lagte Hain in PDF.