Ye Log DhunD Rahe Hain Yahan Wahan Mujhko

ye log DhunD rahe hain yahan wahan mujh ko

talash karte nahin apne darmiyan mujh ko

main agle pichhle zamanon se ho ke aaya hun

kahin nazar nahin aae hain raftagan mujh ko

wo jis mein lauT ke aati thi ek shahzadi

abhi talak nahin bhuli wo dastan mujh ko

ye kis ne kar diya saiqal zamin ka aaina

tah-e-zamin nazar aata hai aasman mujh ko

ajib shaKHs hai jis ne kahin nahin jaana

ye kah ke dekhta jata hai karwan mujh ko

mujhe KHabar hai kahani ka ant aa gaya hai

mujhe KHabar hai ki hona hai raegan mujh ko

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Log DhunD Rahe Hain Yahan Wahan Mujhko In English By Famous Poet Ashfaq Nasir. Ye Log DhunD Rahe Hain Yahan Wahan Mujhko is written by Ashfaq Nasir. Read famous Poem Ye Log DhunD Rahe Hain Yahan Wahan Mujhko for youth and Student by Ashfaq Nasir. Free Download Ye Log DhunD Rahe Hain Yahan Wahan Mujhko in PDF.