Apni Ghazlon Ko Risalon Se Alag Rakhta Hun

apni ghazlon ko risalon se alag rakhta hun

yani ye phul kitabon se alag rakhta hun

han buzurgon se aqidat to mujhe hai lekin

mushkilen apni mazaron se alag rakhta hun

manzilen aa ke mere panw mein gir jati hain

hausla jab main thakanon se alag rakhta hun

un ki aamad ka pata deti hai KHushbu un ki

us ghaDi KHud ko jahanon se alag rakhta hun

hosh wale mujhe apnon mein gina karte hain

main kahan KHud ko diwanon se alag rakhta hun

mujh ko achchha nahin lagta ye umiden TuTen

is liye tir kamanon se alag rakhta hun

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Ghazlon Ko Risalon Se Alag Rakhta Hun In English By Famous Poet Ashfaq Rasheed Mansuri. Apni Ghazlon Ko Risalon Se Alag Rakhta Hun is written by Ashfaq Rasheed Mansuri. Read famous Poem Apni Ghazlon Ko Risalon Se Alag Rakhta Hun for youth and Student by Ashfaq Rasheed Mansuri. Free Download Apni Ghazlon Ko Risalon Se Alag Rakhta Hun in PDF.