Duniya Ko Hadson Mein Giraftar Dekhna

duniya ko hadson mein giraftar dekhna

jab dekhna ho doston aKHbar dekhna

phir us ke baad shauq se baiat karo magar

pahle amir-e-shahr ka kirdar dekhna

us ki taraf hai amn ka parcham laga hua

lekin mera wo KHwab mein talwar dekhna

nisbat hai hum ko tin sau terah se aaj

mumkin nahin ke hum ko paDe haar dekhna

wo shaKHs kya gaya meri binai le gaya

main jis ko chahta tha lagatar dekhna

'ashfaq' tum ko yaad hai maghrib ke baad mein

jaana chhaton pe chand se ruKHsar dekhna

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ko Hadson Mein Giraftar Dekhna In English By Famous Poet Ashfaq Rasheed Mansuri. Duniya Ko Hadson Mein Giraftar Dekhna is written by Ashfaq Rasheed Mansuri. Read famous Poem Duniya Ko Hadson Mein Giraftar Dekhna for youth and Student by Ashfaq Rasheed Mansuri. Free Download Duniya Ko Hadson Mein Giraftar Dekhna in PDF.