Meri Ghazal Gunguna Raha Tha

meri ghazal gunguna raha tha

wahi jo mujh se KHafa raha tha

mere KHayalon mein gum tha shayad

wo apna kangan ghuma raha tha

main baadalon ko mila mila kar

usi ka chehra bana raha tha

bina tumhaare na ji sakenge

wo nind mein budbuda raha tha

jo us ki aankhon se pi li ek din

kai dinon tak nasha raha tha

(602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Ghazal Gunguna Raha Tha In English By Famous Poet Ashfaq Rasheed Mansuri. Meri Ghazal Gunguna Raha Tha is written by Ashfaq Rasheed Mansuri. Read famous Poem Meri Ghazal Gunguna Raha Tha for youth and Student by Ashfaq Rasheed Mansuri. Free Download Meri Ghazal Gunguna Raha Tha in PDF.