ZaKHm-e-furqat Ko Teri Yaad Ne Bharne Na Diya

zaKHm-e-furqat ko teri yaad ne bharne na diya

gham-e-tanhai magar ruKH pe ubharne na diya

aaj bhi naqsh hain dil par teri aahaT ke nishan

hum ne us rah se auron ko guzarne na diya

tu ne jis roz se chhoDa ise KHali rakkha

main ne KHushiyon ko bhi is dil mein Thaharne na diya

rabt jo tujh se banaya so banae rakkha

tu hi kya tera tasawwur bhi bikharne na diya

zabt itna ki charaghon se hue mahw-e-kalam

yaad itni ki tujhe dil se utarne na diya

aaine toD diye jo bhi nazar se guzre

kisi mah-ru ko tere baad sanwarne na diya

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm-e-furqat Ko Teri Yaad Ne Bharne Na Diya In English By Famous Poet Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. ZaKHm-e-furqat Ko Teri Yaad Ne Bharne Na Diya is written by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Read famous Poem ZaKHm-e-furqat Ko Teri Yaad Ne Bharne Na Diya for youth and Student by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Free Download ZaKHm-e-furqat Ko Teri Yaad Ne Bharne Na Diya in PDF.