Aks Bhi Kab Shab-e-hijran Ka Tamashai Hai

aks bhi kab shab-e-hijran ka tamashai hai

ek main aap hun ya gosha-e-tanhai hai

dil to rukta hai agar band-e-qaba baz na ho

chaak karta hun gareban ko to ruswai hai

taqat-e-zabt kahan ab to jigar jalta hai

aah sine se nikal lab pe mere aai hai

main to wo hun ki mere lakh KHaridar hain ab

lek is dil se dhaDakta hun ki saudai hai

dil-e-betab 'fughan' ummat-e-ayyub nahin

na use sabr hai hargiz na shakebai hai

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Bhi Kab Shab-e-hijran Ka Tamashai Hai In English By Famous Poet Ashraf Ali Fughan. Aks Bhi Kab Shab-e-hijran Ka Tamashai Hai is written by Ashraf Ali Fughan. Read famous Poem Aks Bhi Kab Shab-e-hijran Ka Tamashai Hai for youth and Student by Ashraf Ali Fughan. Free Download Aks Bhi Kab Shab-e-hijran Ka Tamashai Hai in PDF.