Basit-e-dasht Ki Hurmat Ko Baam-o-dar De De

basit-e-dasht ki hurmat ko baam-o-dar de de

mere KHudaya mujhe bhi to ek ghar de de

bashaaraton ke sahife utar aankhon par

tilsim-e-shab ke kalas toD kar sahar de de

main tera nam likhunga rida-e-kaba par

qalam nasib hai, alfaz mo'tabar de de

ruke hue hain khule paniyon pe barson se

hawaen khol de aur taqat-e-safar de de

har ek shaKHs ki patthar uThae phirta hai

ek aaina hi mere shahar ko agar de de

bikhar gaya hun bichhaD ke KHalaon mein 'ashraf'

ab aae, wo mujhe mujh ko sameT kar de de

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basit-e-dasht Ki Hurmat Ko Baam-o-dar De De In English By Famous Poet Ashraf Javed. Basit-e-dasht Ki Hurmat Ko Baam-o-dar De De is written by Ashraf Javed. Read famous Poem Basit-e-dasht Ki Hurmat Ko Baam-o-dar De De for youth and Student by Ashraf Javed. Free Download Basit-e-dasht Ki Hurmat Ko Baam-o-dar De De in PDF.