Jo Zindagi Bachi Hai Use Khaar Kya Karen

jo zindagi bachi hai use KHar kya karen

hum bhi tumhaare hote magar yar kya karen

hain band sab dukanen ki bazar-e-ishq mein

milta nahin hai hum sa KHaridar kya karen

laDte rahe hawa se jalate rahe charagh

ab aur raushni ke talabgar kya karen

ahbab chal diye tere darbar ki taraf

aur hum ki aa gae hain sar-e-dar kya karen

sidhi si baat ye hai hamein tum se pyar hai

sheron mein is KHayal ki takrar kya karen

hum jaan de chuke hain kai bar ishq mein

ab ye batao 'shad' ki is bar kya karen

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Zindagi Bachi Hai Use Khaar Kya Karen In English By Famous Poet Ashraf Shad. Jo Zindagi Bachi Hai Use Khaar Kya Karen is written by Ashraf Shad. Read famous Poem Jo Zindagi Bachi Hai Use Khaar Kya Karen for youth and Student by Ashraf Shad. Free Download Jo Zindagi Bachi Hai Use Khaar Kya Karen in PDF.