Sahra Se Bhi Viran Mera Ghar Hai Ki Nahin Hai

sahra se bhi viran mera ghar hai ki nahin hai

is tarah se jina bhi hunar hai ki nahin hai

ye duniya basai hai jo ek be-KHabari ki

is mein kahin yaadon ka guzar hai ki nahin hai

hai jism ke zindan mein wahi ruh ki fariyaad

is karb-e-musalsal se mafar hai ki nahin hai

diwar ke sae ne tumhein rok liya tha

ab himmat-e-ima-e-safar hai ki nahin hai

jis ke liye be-KHwab raha karti hain aankhen

wo aankh bhi aashufta magar hai ki nahin hai

hum shola-e-jaan tez hawaon se bacha kar

zinda hain magar us ko KHabar hai ki nahin hai

ab kaun raha hai jo hamein itni KHabar de

jo haal idhar hai wo udhar hai ki nahin hai

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Se Bhi Viran Mera Ghar Hai Ki Nahin Hai In English By Famous Poet Asif Jamal. Sahra Se Bhi Viran Mera Ghar Hai Ki Nahin Hai is written by Asif Jamal. Read famous Poem Sahra Se Bhi Viran Mera Ghar Hai Ki Nahin Hai for youth and Student by Asif Jamal. Free Download Sahra Se Bhi Viran Mera Ghar Hai Ki Nahin Hai in PDF.