Kis Qadar Dard Ke Shab Karta Tha Mazkur Tera

kis qadar dard ke shab karta tha mazkur tera

wo hi bimar tera KHasta-o-ranjur tera

be-KHabar ab bhi shitabi se pahunch Darta hun

kushta-e-hijr na ho ye kahin mahjur tera

ye na aane ke bahane hain sabhi warna miyan

itna to ghar se mere kuchh nahin ghar dur tera

nichi nazron se teri Darta hun kya kuchh na karen

dekh lena to yahan sab ko hai manzur tera

aankhen in rozon mein sach kahiyo laDaen kis se

be-tarah jhamke hai kuchh dida-e-maKHmur tera

jis ki tu yari kare yari-e-do-jag wo kare

nasir-e-har-do-jahan howe hai mansur tera

shash-jihat tujh sati mamur hai allah allah

jhamke hai chaaron taraf nam-e-KHuda nur tera

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qadar Dard Ke Shab Karta Tha Mazkur Tera In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Kis Qadar Dard Ke Shab Karta Tha Mazkur Tera is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Kis Qadar Dard Ke Shab Karta Tha Mazkur Tera for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Kis Qadar Dard Ke Shab Karta Tha Mazkur Tera in PDF.