Apna Ghar Bazar Mein Kyun Rakh Diya

apna ghar bazar mein kyun rakh diya

waqia aKHbar mein kyun rakh diya

KHwab ki apni bhi ek tauqir hai

dida-e-bedar mein kyun rakh diya

khel mein KHana badalne ke liye

apna mohara haar mein kyun rakh diya

sar bachane tak to shayad Thik ho

KHauf ye dastar mein kyun rakh diya

nind na aana ye raaton ko 'nishat'

dil ko is aazar mein kyun rakh diya

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Ghar Bazar Mein Kyun Rakh Diya In English By Famous Poet Asifa Nishat. Apna Ghar Bazar Mein Kyun Rakh Diya is written by Asifa Nishat. Read famous Poem Apna Ghar Bazar Mein Kyun Rakh Diya for youth and Student by Asifa Nishat. Free Download Apna Ghar Bazar Mein Kyun Rakh Diya in PDF.