Zindagi Mein Tujhko Pana Aaj Tak Bhula Nahin

zindagi mein tujh ko pana aaj tak bhula nahin

phir tera chupke se jaana aaj tak bhula nahin

paD ke pairon par parastish ki ijazat chahna

aur mera wo baukhlana aaj tak bhula nahin

har bashar hai KHud-gharaz mehr-o-wafa kuchh bhi nahin

hum ko tanha chhoD jaana aaj tak bhula nahin

tum hamare the hi kab is ka hua ehsas jab

dil ka sakte mein wo aana aaj tak bhula nahin

'asifa' tu kitni bholi hai sitam sahti rahi

phir bhi tera muskurana aaj tak bhula nahin

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Mein Tujhko Pana Aaj Tak Bhula Nahin In English By Famous Poet Asifa Zamani. Zindagi Mein Tujhko Pana Aaj Tak Bhula Nahin is written by Asifa Zamani. Read famous Poem Zindagi Mein Tujhko Pana Aaj Tak Bhula Nahin for youth and Student by Asifa Zamani. Free Download Zindagi Mein Tujhko Pana Aaj Tak Bhula Nahin in PDF.