Samne Rah Kar Na Hona Masala Mera Bhi Hai

samne rah kar na hona masala mera bhi hai

is kahani mein izafi tazkira mera bhi hai

be-sabab aawargi masruf rakhti hai mujhe

raat din bekar phirna mashghala mera bhi hai

baat kar farhad se bhi intiha-e-ishq par

mashwara mujh se bhi kar kuchh tajraba mera bhi hai

kya zaruri hai andhere mein tera tanha safar

jis pe chalna hai tujhe wo rasta mera bhi hai

hai koi jis ki lagan gardish mein rakhti hai mujhe

ek nukte ki kashish se daera mera bhi hai

be-sabab ye raqs hai mera bhi apne samne

aks wahshat hai mujhe bhi aaina mera bhi hai

ek gum-karda gali mein ek na-maujud ghar

kucha-e-ushshaq mein 'asim' pata mera bhi hai

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samne Rah Kar Na Hona Masala Mera Bhi Hai In English By Famous Poet Asim Wasti. Samne Rah Kar Na Hona Masala Mera Bhi Hai is written by Asim Wasti. Read famous Poem Samne Rah Kar Na Hona Masala Mera Bhi Hai for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Samne Rah Kar Na Hona Masala Mera Bhi Hai in PDF.