Tum Intizar Ke Lamhe Shumar Mat Karna

tum intizar ke lamhe shumar mat karna

diye jalae na rakhna singar mat karna

meri zaban ke mausam badalte rahte hain

main aadmi hun mera e'tibar mat karna

kiran se bhi hai ziyaada zara meri raftar

nahin hai aankh se mumkin shikar mat karna

tumhein KHabar hai ki taqat mera wasila hai

tum apne aap ko be-iKHtiyar mat karna

tumhaare sath mere muKHtalif marasim hain

meri wafa pe kabhi inhisar mat karna

tumhein bataun ye duniya gharaz ki duniya hai

KHulus dil mein agar hai to pyar mat karna

milenge rah mein 'asim' ko ham-safar kai aur

wo aa raha hai magar intizar mat karna

(2193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Intizar Ke Lamhe Shumar Mat Karna In English By Famous Poet Asim Wasti. Tum Intizar Ke Lamhe Shumar Mat Karna is written by Asim Wasti. Read famous Poem Tum Intizar Ke Lamhe Shumar Mat Karna for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Tum Intizar Ke Lamhe Shumar Mat Karna in PDF.