Ab Aur Chalne Ka Is Dil Mein Hausla Hi Na Tha

ab aur chalne ka is dil mein hausla hi na tha

ki shahr-e-shab mein ujale ka shaiba hi na tha

main us gali mein gaya le ke zoam-e-ruswai

magar mujhe to wahan koi jaanta hi na tha

gudaz-e-jaan se liya main ne phir ghazal ka suragh

ki ye charagh to jaise kabhi bujha hi na tha

koi pukare kisi ko to KHud hi kho jae

hua to hai magar aisa kabhi suna hi na tha

kise kahen ki rifaqat ka dagh hai dil par

bichhaDne wala to khul kar kabhi mila hi na tha

musafiron ko kai wahime satate hain

Thaharte kya ki darichon mein to diya hi na tha

damak uTha tha wo chehra haya ki chadar mein

ki jaise jurm-e-wafa us ka muddaa hi na tha

hamare hath faqat ret ke sadaf aae

ki sahilon pe sitara koi raha hi na tha

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Aur Chalne Ka Is Dil Mein Hausla Hi Na Tha In English By Famous Poet Aslam Ansari. Ab Aur Chalne Ka Is Dil Mein Hausla Hi Na Tha is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Ab Aur Chalne Ka Is Dil Mein Hausla Hi Na Tha for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Ab Aur Chalne Ka Is Dil Mein Hausla Hi Na Tha in PDF.