Bujhi Hai Aatish-e-rang-e-bahaar Aahista Aahista

bujhi hai aatish-e-rang-e-bahaar aahista aahista

gire hain shola-e-gul se sharar aahista aahista

wo ek qatra ki barg-e-dil pe shabnam sa larazta tha

hua hai bahr-e-na-paida-kanar aahista aahista

kabhi shor-e-qayamat gosh-e-inshan tak bhi pahunchega

koi sayyara badlega madar aahista aahista

uDa hai rafta rafta rang taswir-e-mohabbat ka

hui hai rasm-e-ulfat be-wiqar aahista aahista

sarab-e-arzu mein phir koi manzar bhi chamkega

uThegi dasht se mauj-e-ghubar aahista aahista

bahut din tak salasil ki sada aai hai zindan se

mila hai be-qararon ko qarar aahista aahista

wo sab arbab-e-jazb-o-shauq jin par naz tha hum ko

hue hain hosh-mandi ke shikar aahista aahista

kabhi malhuz hum ko bhi suKHan mein rabt-e-mani tha

hua hai zahr-e-gham aashufta-kar aahista aahista

kahin yaro tumhein phir gahri yasiyyat na chhu jae

raho rah-e-talab mein mahw-e-kar aahista aahista

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhi Hai Aatish-e-rang-e-bahaar Aahista Aahista In English By Famous Poet Aslam Ansari. Bujhi Hai Aatish-e-rang-e-bahaar Aahista Aahista is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Bujhi Hai Aatish-e-rang-e-bahaar Aahista Aahista for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Bujhi Hai Aatish-e-rang-e-bahaar Aahista Aahista in PDF.