Aaankhon Se Maine Chakh Liya Mausam Ke Zahr Ko

aaankhon se main ne chakh liya mausam ke zahr ko

lekin wajud sah na saka us ke qahr ko

phenka tha kis ne sang-e-hawas raat KHwab mein

phir DhunDhti hai nind usi pichhle pahr ko

miTTi ke sab makan zamin-doz ho gae

naqshe mein ab talash karo apne shahr ko

dariya-e-shab ka TuT gaya hai sukut aaj

muddat ke baad dekh ke kirnon ki nahr ko

sae ke sath waqt ke dauDa wo der tak

palkon mein phir chhupa liya lamhon ke qahr ko

paimana-e-gulab ko honTon se chum kar

muTThi mein qaid kar liya KHushbu ki lahr ko

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaankhon Se Maine Chakh Liya Mausam Ke Zahr Ko In English By Famous Poet Aslam Azad. Aaankhon Se Maine Chakh Liya Mausam Ke Zahr Ko is written by Aslam Azad. Read famous Poem Aaankhon Se Maine Chakh Liya Mausam Ke Zahr Ko for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Aaankhon Se Maine Chakh Liya Mausam Ke Zahr Ko in PDF.