Koshish Hai Gar Uski Ki Pareshan Karega

koshish hai gar us ki ki pareshan karega

wo dushman-e-jaan dard ko aasan karega

hum us ko jawabon se pasheman karenge

wo hum ko sawalon se pasheman karega

pahlu-tahi karte hue duzdida jo dekhe

chehre ke tassur se wo hairan karega

tu chhup ke hi aae ki bar-afganda-naqab aae

dil ki yahi aadat hai ki nuqsan karega

qazzaqon ki basti mein raha karte hain hum sab

har ghar ko koi dusra viran karega

har Tis se ubhregi teri yaad ki KHushbu

har zaKHm mere shauq pe ehsan karega

'aslam' ye suna hai ki mera shahr-e-wafa bhi

taKHrib ko sharminda-e-iqan karega

(698) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koshish Hai Gar Uski Ki Pareshan Karega In English By Famous Poet Aslam Emadi. Koshish Hai Gar Uski Ki Pareshan Karega is written by Aslam Emadi. Read famous Poem Koshish Hai Gar Uski Ki Pareshan Karega for youth and Student by Aslam Emadi. Free Download Koshish Hai Gar Uski Ki Pareshan Karega in PDF.