Wahan Har Ek Isi Nashsha-e-ana Mein Hai

wahan har ek isi nashsha-e-ana mein hai

ki KHak-e-rahguzar-e-yar bhi hawa mein hai

alif se nam tera tere nam se main alif

ilahi mera har ek dard is dua mein hai

wahi kasili si lazzat wahi siyah maza

jo sirf hosh mein tha harf-e-na-rawa mein hai

wo koi tha jo abhi uTh ke darmiyan se gaya

hisab kije to har ek apni ja mein hai

nami utar gai dharti mein tah-ba-tah 'aslam'

bahaar-e-ashk nai rut ki ibtida mein hai

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahan Har Ek Isi Nashsha-e-ana Mein Hai In English By Famous Poet Aslam Emadi. Wahan Har Ek Isi Nashsha-e-ana Mein Hai is written by Aslam Emadi. Read famous Poem Wahan Har Ek Isi Nashsha-e-ana Mein Hai for youth and Student by Aslam Emadi. Free Download Wahan Har Ek Isi Nashsha-e-ana Mein Hai in PDF.