Narm Aawazon Ke Bich

narm aawazon se ek nili KHamoshi hai rawan

yak-ba-yak uD gae

wo kale parind

jin ke sayon se shuaon mein thi ek be-KHwabi

ab wahi KHufta-mizaji wahi be-harf KHumar

narm aawazon ki thapki se

ye sab hosh o hawas

apne izhaar ke bahte hue dariya ki jagah

barf ki jhil bane

chiKH jo naghma-e-azad si lahraati thi

naghme mein gharq hui

wasl ki shab mein wahi shama bani

thartharaati hi rahi

honT jo tegha-e-ejaz pe chaspan the wo sab

ek sahafi ka qalam ban ke rahe be-mani

narm aawazon ke sailab mein ai kash kabhi

hadsa ho koi kashti kisi sahil se kahin Takra jae

phailti raat kabhi tharra jae

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Narm Aawazon Ke Bich In English By Famous Poet Aslam Emadi. Narm Aawazon Ke Bich is written by Aslam Emadi. Read famous Poem Narm Aawazon Ke Bich for youth and Student by Aslam Emadi. Free Download Narm Aawazon Ke Bich in PDF.