Subuk Sa Dard Tha UThta Raha Jo ZaKHmon Se

subuk sa dard tha uThta raha jo zaKHmon se

to hum bhi karte rahe chheD-chhaD ashkon se

sabhi ko zaKHm-e-tamanna dikha ke dekh liye

KHuda se dad mili aur na us ke bandon se

dhuan sa uThne laga fikr-o-fan ke aiwan mein

lahu ki bas si aane lagi hai sheron se

ab in se dekhiye kab manzilen huwaida hon

uTha ke laya hun kuchh naqsh teri rahon se

bilak raha hai nigahon mein hasraton ka hujum

laTak rahi hain patangen udas khambon se

ab aur kis se tere gham ka tazkira karte

tamam-raat rahi guftugu sitaron se

bas ek jast mein aflak se nikal jaun

phalang jaun zamin ko main chaar qadmon se

(632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subuk Sa Dard Tha UThta Raha Jo ZaKHmon Se In English By Famous Poet Aslam Habeeb. Subuk Sa Dard Tha UThta Raha Jo ZaKHmon Se is written by Aslam Habeeb. Read famous Poem Subuk Sa Dard Tha UThta Raha Jo ZaKHmon Se for youth and Student by Aslam Habeeb. Free Download Subuk Sa Dard Tha UThta Raha Jo ZaKHmon Se in PDF.