Samne Shah-e-waqt Ke Aslam Kaun Kahe Ye Baat

samne shah-e-waqt ke 'aslam' kaun kahe ye baat

chor na the fankar the hum phir kaT liye kyun hat

us ka shewa us ki fitrat rishton ki tauhin

nang-e-insaniyyat hain sab us ke ehsasat

kunDli mare baiTha hua tha us ki zat mein khoT

aa kar wapas ho jati thi rishton ki saughat

meri KHamoshi par tari hai kaisa aalam-e-kashf

dasht-e-badan par hone lagi hai rangon ki barsat

jaise ye bhi paT rahi hon shaKHsiyyat ka jhol

rauzon ki diwaron par yun kanda hain aayat

jaane kis aawaz ki KHushbu sungh rahe hain kan

sare badan mein Dol raha hai ek kaif-e-lazzat

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samne Shah-e-waqt Ke Aslam Kaun Kahe Ye Baat In English By Famous Poet Aslam Haneef. Samne Shah-e-waqt Ke Aslam Kaun Kahe Ye Baat is written by Aslam Haneef. Read famous Poem Samne Shah-e-waqt Ke Aslam Kaun Kahe Ye Baat for youth and Student by Aslam Haneef. Free Download Samne Shah-e-waqt Ke Aslam Kaun Kahe Ye Baat in PDF.