Hamari Jit Hui Hai Ki Donon Haare Hain

hamari jit hui hai ki donon haare hain

bichhaD ke hum ne kai raat din guzare hain

hanuz sine ki chhoTi si qabr KHali hai

agarche is mein janaze kai utare hain

wo koele se mera nam likh chuka to use

suna hai dekhne walon ne phul mare hain

ye kis bala ki zaban aasman ko chaT gai

ki chand hai na kahin kahkashan na tare hain

mujhe bhi KHud se adawat hui to zahir hai

ki apne dost mujhe zindagi se pyare hain

nahin ki arsa-e-girdab hi ghanimat tha

magar yaqin to dilao yahi kinare hain

ghalat ki koi sharik-e-safar nahin 'aslam'

sulagte aks hain jalte hue ishaare hain

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Jit Hui Hai Ki Donon Haare Hain In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Hamari Jit Hui Hai Ki Donon Haare Hain is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Hamari Jit Hui Hai Ki Donon Haare Hain for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Hamari Jit Hui Hai Ki Donon Haare Hain in PDF.