Jab Bhi Hansi Ki Gard Mein Chehra Chhupa Liya

jab bhi hansi ki gard mein chehra chhupa liya

be-laus dosti ka baDa hi maza liya

ek lamha-e-sukun to mila tha nasib se

lekin kisi sharir sadi ne chura liya

kanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul

yaron ne bu-e-gul se bhi kanTa bana liya

'aslam' baDe waqar se degree wasul ki

aur is ke baad shahr mein KHwancha laga liya

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Hansi Ki Gard Mein Chehra Chhupa Liya In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Jab Bhi Hansi Ki Gard Mein Chehra Chhupa Liya is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Jab Bhi Hansi Ki Gard Mein Chehra Chhupa Liya for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Jab Bhi Hansi Ki Gard Mein Chehra Chhupa Liya in PDF.