Nazar Ko Waqf-e-hairat Kar Diya Hai

nazar ko waqf-e-hairat kar diya hai

use bhi dil se ruKHsat kar diya hai

barae-nam tha aaram jis ko

ghazal kah kar musibat kar diya hai

samajhte hain kahan patthar kisi ki

magar itmam-e-hujjat kar diya hai

gali-kuchon mein jalti raushni ne

hasin shamon ko shamat kar diya hai

basirat ek daulat hi thi aaKHir

so daulat ko basirat kar diya hai

kai hamdam nikal aae hain jab se

zaban ko sirf ghibat kar diya hai

suKHan ke bab mein bhi hum ne 'aslam'

jo karna tha ba-ujlat kar diya hai

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ko Waqf-e-hairat Kar Diya Hai In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Nazar Ko Waqf-e-hairat Kar Diya Hai is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Nazar Ko Waqf-e-hairat Kar Diya Hai for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Nazar Ko Waqf-e-hairat Kar Diya Hai in PDF.