Sirf Mere Liye Nahin Rahna

sirf mere liye nahin rahna

tum mere baad bhi hasin rahna

peD ki tarah jis jagah phuTa

umr-bhar hai mujhe wahin rahna

mashghala hai sharif logon ka

surat-e-mar-e-astin rahna

dili ujDi udas basti mein

chahte the kai makin rahna

mar na jae tumhaari phulwari

qarya-e-zaKHm ke qarin rahna

muskuraata hun aadatan 'aslam'

kaun samjhe mera ghamin rahna

(1388) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sirf Mere Liye Nahin Rahna In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Sirf Mere Liye Nahin Rahna is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Sirf Mere Liye Nahin Rahna for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Sirf Mere Liye Nahin Rahna in PDF.