Main Ek Ret Ka Paikar Tha Aur Bikhar Bhi Gaya

main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya

ajab tha KHwab ki main KHwab hi mein Dar bhi gaya

hawa bhi tez na thi aur charagh mar bhi gaya

main samne bhi raha zehn se utar bhi gaya

na ehtiyat koi kaam aaya ishq ke sath

jo rog dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya

ajab thi hijr ki saat ki jaan pe ban aai

kaDa tha waqt wo dil par magar guzar bhi gaya

hawa se dosti jis ko tha mashwara mera

usi charagh ki lau se main aaj Dar bhi gaya

kabhi na mujh ko Daraega mere baatin se

ye ahd kar ke mera aaina mukar bhi gaya

kinare wale mujhe bas sadaen dete rahe

bhanwar ko naw bana kar main par utar bhi gaya

main KHak-e-pa sahi kam-tar mujhe na jaan ki main

ghubar ban ke uTha aasman par bhi gaya

main apne jism ke andar tha aafiyat se magar

lahu ke sail-e-bala-KHez mein ye ghar bhi gaya

KHata ye thi ki main aasaniyon ka talib tha

saza ye hai ki mera tisha-e-hunar bhi gaya

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ek Ret Ka Paikar Tha Aur Bikhar Bhi Gaya In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Main Ek Ret Ka Paikar Tha Aur Bikhar Bhi Gaya is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Main Ek Ret Ka Paikar Tha Aur Bikhar Bhi Gaya for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Main Ek Ret Ka Paikar Tha Aur Bikhar Bhi Gaya in PDF.