Sarab-e-mani-o-mafhum Mein BhaTakte Hain

sarab-e-mani-o-mafhum mein bhaTakte hain

kuchh aise lafz jo shayad azal se pyase hain

samaaton ko abhi yun hi muntazir rakhna

pas-e-ghubar-e-KHamoshi hazar naghme hain

andhere kitne hi saffak hon ki zalim hon

magar charagh ki nannhi si lau se Darte hain

ye kis KHayal ki lau se lipaT rahi hai hawa

ye kis ki yaad ke sae se thartharaate hain

yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya

kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi roe hain

bikhar ke bhi to hamein aaina hi rahna hai

harif-e-sang kahin TuTne se Darte hain

safar the panw mein 'aslam' to manzilen sar mein

magar ab apni hi parchhaiyon se lipTe hain

(952) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarab-e-mani-o-mafhum Mein BhaTakte Hain In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Sarab-e-mani-o-mafhum Mein BhaTakte Hain is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Sarab-e-mani-o-mafhum Mein BhaTakte Hain for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Sarab-e-mani-o-mafhum Mein BhaTakte Hain in PDF.