Mujhe Dariya Banana Chahti Hai

mujhe dariya banana chahti hai

ye duniya Dub jaana chahti hai

hamari nind ki hasrat to dekho

tumhein takiya banana chahti hai

tumhaari yaad sahra ke safar mein

hamare sath aana chahti hai

sitaro kaun utra hai zamin par

nazar kyun sar jhukana chahti hai

samundar se koi itna to puchhe

nadi kyun sukh jaana chahti hai

hamari jaan ka sadqa utaro

hamari jaan jaana chahti hai

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Dariya Banana Chahti Hai In English By Famous Poet Aslam Rashid. Mujhe Dariya Banana Chahti Hai is written by Aslam Rashid. Read famous Poem Mujhe Dariya Banana Chahti Hai for youth and Student by Aslam Rashid. Free Download Mujhe Dariya Banana Chahti Hai in PDF.