Chamche Ki Dua

lab pe aati hai dua ban ke ye chahat meri

zindagi qab ke chamchon ki ho surat meri

kali daulat se mere ghar mein ujala kar de

aur gharibon ki gharibi ko do-baala kar de

chaTpaTi baat meri garm masala ho jae

KHwah janta ka mere dam se diwala ho jae

zindagi ho meri netaon ki surat ya-rab

ho faqat apni gharaz se hi mohabbat ya-rab

rahun aazad na ho qaid-e-maqami malik

dil badalna ho mera shaghl-e-dawami malik

chaplusi ke hunar mein mujhe yakta kar de

jo bhi ho mere muqabil use paspa kar de

itni tasir KHushamad mein ata kar maula

ki hamesha rahe qabze mein minister maula

chaDhte suraj ka ho qismat mein pujari banna

mujh ko manzur nahin phir se bhikari banna

roghan-e-qaz ki malish ka saliqa aa jae

dam mein fanste rahne ka tariqa aa jae

mere fitnon se har ek ghar ko ukhaDa kar de

ghair to ghair hain apnon ka kabaDa kar de

lekin allah piTai se bachana mujh ko

juta chappal na paDe dahr mein khana mujh ko

(1013) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chamche Ki Dua In English By Famous Poet Asrar Jaamayee. Chamche Ki Dua is written by Asrar Jaamayee. Read famous Poem Chamche Ki Dua for youth and Student by Asrar Jaamayee. Free Download Chamche Ki Dua in PDF.