Ghazal-paimai

shaeri ka garm sare mulk mein bazar hai

jis ko dekho wo qalam kaghaz liye tayar hai

tez bekari ki jitni aaj kal raftar hai

bas usi darja fuzun ghazlon ki paida-war hai

har gali kuche mein hai sheri nashishton ki dukan

zehan ko bimar rakhne ka ye karobar hai

mubtadi ustad tak band o atai jo bhi hai

sher-sazi ke junun mein mast hai sarshaar hai

ek pyali chae rakh kar doston ke darmiyan

be-tuki bahsen hain ghanTon be-sabab takrar hai

jo bhi shaer hai use dekho to hafton qabl se

bas radif o qafiya se bar-sar-e-paikar hai

qafiye jitne lughat mein mil sake sab chun liye

in ko misron mein khapaya aur ghazal tayar hai

maulwi haali hun ya mister kalimuddin hun

un ki nazron mein ghazal be-rabta-e-afkar hai

phir bhi an-paDh log hon ya hon adab ke doctor

jaane kyun us shoKH chanchal se sabhi ko pyar hai

daur-e-nau ka ho suKHan-war ya purani nasl ka

jis ko dekho mahfilon mein bas us ka yar hai

ek ada-e-KHas se akDe hue baiThenge sab

jo bhi shaer hai ba-zom-e-KHud baDa fankar hai

sher sunne se ziyaada KHud sunane ke liye

nafKH ki haalat mein hain betabi-e-izhaar hai

bans par chaDhna utarna jis tarah ka kaam hai

ye ghazal-paimai bhi waisa hi shaghl 'asrar' hai

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal-paimai In English By Famous Poet Asrar Jaamayee. Ghazal-paimai is written by Asrar Jaamayee. Read famous Poem Ghazal-paimai for youth and Student by Asrar Jaamayee. Free Download Ghazal-paimai in PDF.