Pas-e-diwar Hujjat Kis Liye Hai

pas-e-diwar hujjat kis liye hai

dariche se ye wahshat kis liye hai

na main apna na main tera hun duniya

to phir jine ki hasrat kis liye hai

agar sud o ziyan ke hum hain qael

junun se apni qurbat kis liye hai

jafa hi jab teri pahchan Thahri

wafa mein mujh ko lazzat kis liye hai

meri aankhon pe jo pahra hai tera

to aaine se raghbat kis liye hai

KHud apne ghar mein hai jab ajnabi to

mere bhai ye shohrat kis liye hai

safar mein jab na tere kaam aae

zara ye soch daulat kis liye hai

adab hi zindagi mein jab na aaya

adab mein itni mehnat kis liye hai

nikal aae hain diwaron pe chehre

tasawwur ki ye jiddat kis liye hai

mera aaina hai jab tera chehra

to phir duniya ki hairat kis liye hai

KHamoshi hai jawab-e-jahilan jab

zaban jaisi ye neamat kis liye hai

hai duniya ka jawaz is amr hi mein

jahannam kyun hai jannat kis liye hai

khile hain phul sahra mein wa-lekin

mujhe ghar mein ye farhat kis liye hai

nahin waqif hai dil isar se jab

'ata' izhaar-e-ulfat kis liye hai

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-diwar Hujjat Kis Liye Hai In English By Famous Poet Ata Abidi. Pas-e-diwar Hujjat Kis Liye Hai is written by Ata Abidi. Read famous Poem Pas-e-diwar Hujjat Kis Liye Hai for youth and Student by Ata Abidi. Free Download Pas-e-diwar Hujjat Kis Liye Hai in PDF.