Parsaon Ne BaDe Zarf Ka Izhaar Kiya

parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya

hum se pi aur hamein ruswa sar-e-bazar kiya

dard ki dhup mein sahra ki tarah sath rahe

sham aai to lipaT kar hamein diwar kiya

raat phulon ki numaish mein wo KHush-jism se log

aap to KHwab hue aur hamein bedar kiya

kuchh wo aankhon ko lage sang pe sabze ki tarah

kuchh sarabon ne hamein tishna-e-didar kiya

tum to resham the chaTanon ki nigah-dari mein

kis hawa ne tumhein pa-basta-e-yalghaar kiya

hum bure kya the ki ek sidq ko samjhe the sipar

wo bhi achchhe the ki bas yar kaha war kiya

sangsari mein to wo hath bhi uTTha tha 'ata'

jis ne masum kaha jis ne gunahgar kiya

(2480) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parsaon Ne BaDe Zarf Ka Izhaar Kiya In English By Famous Poet Ata Shad. Parsaon Ne BaDe Zarf Ka Izhaar Kiya is written by Ata Shad. Read famous Poem Parsaon Ne BaDe Zarf Ka Izhaar Kiya for youth and Student by Ata Shad. Free Download Parsaon Ne BaDe Zarf Ka Izhaar Kiya in PDF.