Aasmanon Mein Bhi Darwaza Laga Kar Dekhen

aasmanon mein bhi darwaza laga kar dekhen

qamat-e-husn ka andaza laga kar dekhen

ishq to apne lahu mein hi sanwarta hai so hum

kis liye ruKH pe koi ghaza laga kar dekhen

ain mumkin hai ki joDe se ziyaada mahke

apne collar mein gul-e-taza laga kar dekhen

baz-gasht apni hi aawaz ki ilham na ho

wadi-e-zat mein aawaza laga kar dekhen

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasmanon Mein Bhi Darwaza Laga Kar Dekhen In English By Famous Poet Ata Turab. Aasmanon Mein Bhi Darwaza Laga Kar Dekhen is written by Ata Turab. Read famous Poem Aasmanon Mein Bhi Darwaza Laga Kar Dekhen for youth and Student by Ata Turab. Free Download Aasmanon Mein Bhi Darwaza Laga Kar Dekhen in PDF.