Raat Wahshat Se Gurezan Tha Main Aahu Ki Tarah

raat wahshat se gurezan tha main aahu ki tarah

panw paDti rahi zanjir bhi ghungru ki tarah

ab tere lauT ke aane ki koi aas nahin

tu juda mujh se hua aankh se aansu ki tarah

ab hamein apni jihaalat pe hansi aati hai

hum kabhi KHud ko samajhte the arastu ki tarah

han tujhe bhi to mayassar nahin tujh sa koi

hai tera arsh bhi viran mere pahlu ki tarah

naz o andaz mein shaista sa wo husn-e-nafis

hu-ba-hu jaan-e-ghazal hai meri urdu ki tarah

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Wahshat Se Gurezan Tha Main Aahu Ki Tarah In English By Famous Poet Ata Turab. Raat Wahshat Se Gurezan Tha Main Aahu Ki Tarah is written by Ata Turab. Read famous Poem Raat Wahshat Se Gurezan Tha Main Aahu Ki Tarah for youth and Student by Ata Turab. Free Download Raat Wahshat Se Gurezan Tha Main Aahu Ki Tarah in PDF.