Manzilen Bhi Ye Shikasta Baal-o-par Bhi Dekhna

manzilen bhi ye shikasta baal-o-par bhi dekhna

tum safar bhi dekhna raKHt-e-safar bhi dekhna

haal-e-dil to khul chuka is shahr mein har shaKHs par

han magar is shahr mein ek be-KHabar bhi dekhna

rasta den ye sulagti bastiyan to ek din

qarya-e-jaan mein utarna ye nagar bhi dekhna

chand lamhon ki shanasai magar ab umr bhar

tum sharar bhi dekhna raqs-e-sharar bhi dekhna

jis ki KHatir main bhula baiTha tha apne aap ko

ab usi ke bhul jaane ka hunar bhi dekhna

ye to aadab-e-mohabbat ke munafi hai 'ata'

rauzan-e-diwar se bairun-e-dar bhi dekhna

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzilen Bhi Ye Shikasta Baal-o-par Bhi Dekhna In English By Famous Poet Ata Ul Haq Qasmi. Manzilen Bhi Ye Shikasta Baal-o-par Bhi Dekhna is written by Ata Ul Haq Qasmi. Read famous Poem Manzilen Bhi Ye Shikasta Baal-o-par Bhi Dekhna for youth and Student by Ata Ul Haq Qasmi. Free Download Manzilen Bhi Ye Shikasta Baal-o-par Bhi Dekhna in PDF.