Wo Dasht-e-karb-o-bala Mein Utarne Deta Nahin

wo dasht-e-karb-o-bala mein utarne deta nahin

hawa-e-tez mein mujh ko bikharne deta nahin

zamin ko chumna chahun ki wo zamin pe hai

wo aasman se mujh ko utarne deta nahin

jhapakne deta nahin aankh wo shab-e-KHalwat

mere lahu ko wo aaram karne deta nahin

ye kis azab mein us ne phansa diya mujh ko

ki us ka dhyan koi kaam karne deta nahin

kiye hain band 'ata' us ne sare darwaze

kisi bhi rah se mujh ko guzarne deta nahin

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dasht-e-karb-o-bala Mein Utarne Deta Nahin In English By Famous Poet Ata Ul Haq Qasmi. Wo Dasht-e-karb-o-bala Mein Utarne Deta Nahin is written by Ata Ul Haq Qasmi. Read famous Poem Wo Dasht-e-karb-o-bala Mein Utarne Deta Nahin for youth and Student by Ata Ul Haq Qasmi. Free Download Wo Dasht-e-karb-o-bala Mein Utarne Deta Nahin in PDF.