Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di

waise to is ghar ko us ne chahe kam KHush-haali di

beTa bar-KHurdar diya aur beTi hausle wali di

ghusse mein donon ne ek duje ke hath ko jhaTka tha

aur ab soch rahe hain pahle kis ne kis ko gali di

kuchh main KHud bhi har ek shaKHs ki baaton mein aa jata hun

kuchh waise bhi us ne mujh ko surat bholi-bhaali di

warna kaam tha mera to phulon se rizq kamane tak

phir us ne ek bagh ki mere hathon mein rakhwali di

dhup baDhi to wo bhi apne apne panw khinch gae

main ne apne hisse ki jin peDon ko hariyali di

dil ne meri ek sada par donon hathon dan kiya

jab zambil mohabbat ne jazbaat se mujh ko KHali di

tu bhi man gaya ai dost ki dariya sirf Dubota hai

mere bare mein duniya ne tujh ko KHam-KHayali di

pahle meri aankhon se sarmaya chhina nindon ka

badle mein phir hijr ne meri aankhon ko ye lali di

wo hi dega mujh ko phir tamir uThane ki himmat

jis ne 'hasan' in baam-o-dar ko itni KHasta-haali di

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di In English By Famous Poet Ataul Hasan. Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di is written by Ataul Hasan. Read famous Poem Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di for youth and Student by Ataul Hasan. Free Download Waise To Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-haali Di in PDF.