Aai Hai Jaane Kaise Ilaqon Se Raushni

aai hai jaane kaise ilaqon se raushni

aur DhunDhti hai kis ko zamanon se raushni

ho kar rahi wo ek zamane pe munkashif

diwar se ruki na darichon se raushni

mauj-e-yaqin ke hath na aai tamam-umr

wo lau jise mili hai gumanon se raushni

karte hain aaj us pe mah-o-aftab rashk

aankhon ko jo mili tere KHwabon se raushni

mahki hui hun aap ki qurbat se meri jaan

kal raat kah rahi thi charaghon se raushni

pahle main ek harf-e-ujala aur us ke baad

aane lagi hai kitni kitabon se raushni

pahle charagh-e-chashm ko raushan kiya tha main

phir phuTne lagi thi sitaron se raushni

harf-e-suKHan se khul gai duniya pe ai 'atiq'

dil mein hai kaise kaise KHayalon se raushni

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aai Hai Jaane Kaise Ilaqon Se Raushni In English By Famous Poet Ateeq Ahmad. Aai Hai Jaane Kaise Ilaqon Se Raushni is written by Ateeq Ahmad. Read famous Poem Aai Hai Jaane Kaise Ilaqon Se Raushni for youth and Student by Ateeq Ahmad. Free Download Aai Hai Jaane Kaise Ilaqon Se Raushni in PDF.