Main Apni KHak Ko Jab Aaina Banata Hun

main apni KHak ko jab aaina banata hun

to is ke waste dil bhi naya banata hun

har ek parind rahe ta-abad yahan shadab

isi liye main shajar bhi hara banata hun

bhaTak na jae kahin shahr-e-gham mein apna dil

so tere KHwab ko main rahnuma banata hun

kare na kyun ye tere dil mein ghar mere hamdam

main apne sher ko dard-ashna banata hun

main pahle bharta hun us dil mein wahshaten aur phir

sawad-e-dasht ko bhi ham-nawa banata hun

wo faelat-o-mafail ke nahin bas mein

main apne sher mein jo zawiya banata hun

talash karti hain KHud manzilen jise 'ahmad'

main dasht-e-shauq mein wo rasta banata hun

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apni KHak Ko Jab Aaina Banata Hun In English By Famous Poet Ateeq Ahmad. Main Apni KHak Ko Jab Aaina Banata Hun is written by Ateeq Ahmad. Read famous Poem Main Apni KHak Ko Jab Aaina Banata Hun for youth and Student by Ateeq Ahmad. Free Download Main Apni KHak Ko Jab Aaina Banata Hun in PDF.