Chand Lamhon Ko Sahi Tha Sath Mein Rahna Bahut

chand lamhon ko sahi tha sath mein rahna bahut

ek bas tere na hone se hai sannaTa bahut

zabt ka suraj bhi aaKHir sham ko Dhal hi gaya

gham ka baadal ban ke aansu raat bhar barsa bahut

dushmanon ko koi bhi mauqa na milne paega

doston ne hi mere bare mein hai likkha bahut

main khara utra nahin tere taqaze par kabhi

zindagi ai zindagi tujh se hun sharminda bahut

bas ana ke bojh ne nazren meri uThne na din

us ki jaanib dekhne ko ji mera chaha bahut

main ne puchha ye bata mujh se bichhaDne ka tujhe

kuchh qalaq hota hai kya us ne kaha thoDa bahut

ghar hamara phunk kar kal ek paDosi ai 'atiq'

do ghaDi to hans liya phir baad mein roya bahut

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Lamhon Ko Sahi Tha Sath Mein Rahna Bahut In English By Famous Poet Ateeq Allahabadi. Chand Lamhon Ko Sahi Tha Sath Mein Rahna Bahut is written by Ateeq Allahabadi. Read famous Poem Chand Lamhon Ko Sahi Tha Sath Mein Rahna Bahut for youth and Student by Ateeq Allahabadi. Free Download Chand Lamhon Ko Sahi Tha Sath Mein Rahna Bahut in PDF.