Judai Had Se BaDhi To Visal Ho Hi Gaya

judai had se baDhi to visal ho hi gaya

chalo wo aaj mera ham-KHayal ho hi gaya

nawazta tha hamesha wo gham ki daulat se

aur is KHazane se main mala mal ho hi gaya

main aadmi hun to himmat na TuTti kaise

ghamon ke bojh se aaKHir niDhaal ho hi gaya

ye aur baat ki wo aadmi na ban paya

magar zamane ki KHatir misal ho hi gaya

wo aaftab ki din mein uruj tha jis ka

hui jo sham to us ka zawal ho hi gaya

main karobar-e-jahan mein ulajh gaya itna

ki KHud se milna bhi ab to muhaal ho hi gaya

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Judai Had Se BaDhi To Visal Ho Hi Gaya In English By Famous Poet Ateeq Allahabadi. Judai Had Se BaDhi To Visal Ho Hi Gaya is written by Ateeq Allahabadi. Read famous Poem Judai Had Se BaDhi To Visal Ho Hi Gaya for youth and Student by Ateeq Allahabadi. Free Download Judai Had Se BaDhi To Visal Ho Hi Gaya in PDF.